sham-e-firaq apni farozan na kar sake tarik zindagi ko darakhshan na kar sake the is qadar judai ke lamhat sogwar kuchh bhi talafi-e-gham-e-hijran na kar sake yurish ghamon ki aisi thi mujh pe ki al-aman kuchh raazdari-e-gham-e-pinhan na kar sake thi is qadar nawazish-e-paiham ki al-hafiz kuchh ehtimam-e-wusat-e-daman na kar sake apni hi zindagi thi kuchh aisi khizan-nasib tum bhi hamare dard ka darman na kar sake