sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae

sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae
kahin tujh ko hi na tujh se koi aa kar le jae

pahne phirte hain jo pairahan-e-suqraat-o-masih
un ka bahrup na dil tera lubha kar le jae

tu chadhawa to nahin hai ki koi sehar-maqal
su-e-maqtal tujhe lafzon mein saja kar le jae

tu koi sukha hua patta nahin hai ki jise
jis taraf mauj-e-hawa chahe uda kar le jae

teri aqdar par-e-kah nahin hain ki junhi
koi lahar utthe unhen sath baha kar le jae

log to tak mein hain aisa na ho koi tujhe
khud tere khauf ki zanjir pinha kar le jae

ja-ba-ja shola-bayan charb-zaban tak mein hain
koi tujh ko bhi na baaton mein laga kar le jae

lafz tiron ki tarah waz sinan ke manind
dil-e-wahshi ko kahan koi bacha kar le jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close