sham ka rang jo gahra hua aaine mein

By ghayas-mateenSeptember 3, 2022
sham ka rang jo gahra hua aaine mein
ek sitara sa chamakne laga aaine mein
sab khilaunon ki tarah tut rahe hain pal-pal
aur ye manzar mujhe dasta hua aaine mein


gardish-e-waqt sanbhalne nahin deti mujh ko
silsila tutta banta raha aaine mein
dekh kar lahron ki shorida-sari yaad aaya
ek chehra kabhi dekha hua aaine mein


us ki aankhon mein utarte hue mahsus hua
ek nae shahr ka rasta mila aaine mein
aaina dekh ke kyon chikhte rahte ho 'matin'
kya koi aur hai baitha hua aaine mein


78958 viewsghazalEnglish