sham ko ghar lauT ke ji bhar ke pachhtate rahe

sham ko ghar laut ke ji bhar ke pachhtate rahe
kal ke chakkar mein hum apne aaj se jate rahe

zindagi ka aur koi pahlu nazar aaya nahin
kuchh naya karne ki dhun mein khud ko dohraate rahe

jo jahan jaise tha wo waise ka waisa hi raha
mere jaise saikdon aate rahe jate rahe

dard kuchh itna ziyaada tha ke sari zindagi
dard hi likhte rahe aur dard hi gate rahe

ye masiha hain nahin ye sab ke sab jarrah hain
aap kin logon ko apne zakhm dikhlate rahe

us ne patthar hi chalae hum pe 'nusrat' raat-din
jis ki rahon mein sada hum phul barsate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close