sham tak aisa thakan se chur ho jata hun main

sham tak aisa thakan se chur ho jata hun main
jism se banu-e-shab kafur ho jata hun main

tere jalwon se kabhi jab dur ho jata hun main
apni aankhon ke liye be-nur ho jata hun main

log ho jate hain wamiq log ho jate hain qais
intiha-e-ishq mein mansur ho jata hun main

chahta to hun karun khalq-e-jahan par ghaur-o-khauz
dar-guzar ai rabb-e-kul mashur ho jata hun main

jab bhi sunta hun zaban-e-ghair se apni sifat
sach kahun thoda bahut maghrur ho jata hun main

meri aankhen kar rahi hoti hain jab didar-e-yar
apne paikar mein sarapa tur ho jata hun main

shahr mein sahib bana phirta hun kis kis rang se
ganw ja kar phir wahi mazdur ho jata hun main

mil hi jati hai hisar-e-dard se mujh ko najat
phir hisar-e-dard mein mahsur ho jata hun main

aadmi 'akhlaq' main achchha hun is mein shak nahin
han kabhi haalat se majbur ho jata hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close