sham tanha hai aur sahar tanha

By malikzada-javedSeptember 24, 2023
sham tanha hai aur sahar tanha
zindagi ho gai basar tanha
jaane kis kis ko yaad karta hai
ghar ke aangan mein ek shajar tanha


apni azmat ki dastan le kar
ganw mein rah gaya khandar tanha
hadse tez-gam hote hain
aur karta hun main safar tanha


68174 viewsghazalEnglish