shamim-e-zulf-e-muambar jo ru-e-yar se lun to phir khata hai meri mushk gar tatar se lun qadam rakhe mere sine pe aa ke gar wo nigar hina ka kaam main khun-e-dil-fighaar se lun agar mile tere hathon se ai junun fursat qisas-e-abla-pai main nok-e-khar se lun mere huzur ye lote hai teri chhati par jo pahunche hath to badla gulon ke haar se lun dila baje kahin ghadiyal ta main ghadiyon ka hisab us shab-e-hijr-e-siyahkar se lun ajab hai sair kisi din to sath bagh mein chal kahan talak main qadam ijz-o-inkisar se lun pata-pati ka mere pas gar na ho khema to yar tere liye abr-e-nau bahaar se lun jo mai-kashi ka irada ho kuchh tere dil mein chaman mein saghar-e-gul dast-e-shakh-sar se lun agar surahi-e-ghuncha mein ho na baada-e-surkh to shisha-e-mai-e-khas sarw-e-jui-bar se lun na howe mutrib-e-naghma-sara to is ka kaam qasam hai mujh ko teri andalib-e-zar se lun lage na hath koi gar rabab-o-chang-nawaz to apne dosh pe rakh bin ko main tar se lun ye ji mein ho ki na dekhe koi to parde ko kanar-e-ab-e-rawan chadar aabshaar se lun balaen lene se mere agar khushi ho teri balaen mehr se ikhlas se pyar se lun gar us pe bhi gul-e-ariz ka tu na de bosa to phir main jabr karun apne ikhtiyar se lun 'nasir' madarsa-e-ishq mein mutawwal ka sabaq na kyunki main zulf-e-daraaz-e-yar se lun