shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai

By shafqat-tanveer-mirzaNovember 18, 2020
shaq aafiyat-kanar kinare ko kar gai
dariya ki mauj sar ko patak kar guzar gai
tohmat ka sail subh ko uthne laga ki shab
dastak thi ek dar pe sada dar-ba-dar gai


ghaarat-gar-e-sukun thin nawa-ha-e-khun-e-balb
jangal ki sham shahr mein aai to dar gai
rota phirega raat ke raston pe mahtab
aaghosh-e-arz-khak to suraj se bhar gai


aaram-e-jaan tha khwab-e-sukun aankh jab khuli
sail-e-fana utar gaya mitti bikhar gai
na-karda kariyon ki pashemaniyan na puchh
umr-e-aziz dhundte phiriye kidhar gai


tere huzur kaun sa nazrana tha qubul
dil sa guhar bhi le ke meri chashm-e-tar gai
diwar-o-dar pe jin ke lahu bolta raha
mauj-e-fana wo sare makan dher kar gai


khushbu-e-marg ka na thikana mila koi
main bhi ghubar-e-rah raha wo jidhar gai
ab gosh-bar-sada hue hum dosto to kya
aawaz dur ki thi samaat-safar gai


39110 viewsghazalEnglish