sharab-e-arghawani KHum mein rakkhi thi na mine mein

By badiuzzaman-saharJanuary 2, 2024
sharab-e-arghawani khum mein rakkhi thi na mine mein
ye kis ka khun hai saqi bata is aabgine mein
lundhate phirte ho tum roz paimane pe paimana
hamein shabnam badha dete ho sawan ke mahine mein


hamari baada-khwari par ab un ko bhi shikayat hai
kati hai 'umr jin ki aadmi ka khun pine mein
udhar kuchh duriyon ka silsila badhta raha hum se
idhar kuchh fasle kam ho gae hain marne jine mein


dikhaen kis ko ja ke hum shikasta tar-e-pairahan
lage hain sab yahan apni qaba ke chaak sine mein
saba khushbu ki talib hai to mil mushkin-kamandon se
kahin ‘ambar ki bu hoti hai mardon ki pasine mein


sukun ke din guzar jaenge ek din ahl-e-sahil ke
hum ahl-e-mauj wo tufan laenge safine mein
'sahar' mansab hamara bhi riya-kari agar hota
to hum bhi shaikh ke shamil nazar aate madine mein


17337 viewsghazalEnglish