sharab jaisi hain uski aankhen hai us ka chehra kitab jaisa

By puja-parastishFebruary 28, 2024
sharab jaisi hain us ki aankhen hai us ka chehra kitab jaisa
bahaar us ki hasin tabassum wo ek shagufta gulab jaisa
wo zauq-e-pinhan wo sab se wahid wo ek 'izzat-maab jaisa
wo rang-e-mahfil wo nau-bahaaran wo nakh-ba-nakh hai nawab jaisa


udas dil ki hai sarkhushi wo hai zindagi ke sawab jaisa
wo meri banjar si dil-zamin par barasta hai kuchh sahab jaisa
kabhi lage mahtab mujh ko kabhi lage aaftab jaisa
haqiqaton ki to baat chhodo wo khwab mein bhi hai khwab jaisa


usi se she'r-o-sukhan hain mere usi se takhliq meri sari
wo aks-e-ru hai meri ghazal ka mere tasawwur ke bab jaisa
43072 viewsghazalEnglish