sharh-e-gham-e-firaq kare dil-figar kya

By abdul-qadir-ahqar-aziziJune 22, 2023
sharh-e-gham-e-firaq kare dil-figar kya
degi na sath ai nigah-e-lutf-e-yar kya
majnun ke misl ban ke hazaron sitam sahe
fariyaad tere aage kare dil-figar kya


aata hai ji mein mere ki chhoden dayar-e-yar
tu hi bata de karna padega farar kya
jis din se bewafa ne ujada hai bagh-e-dil
yaksan mere liye hai khizan kya bahaar kya


kotahi-e-hayat ke shaki hain khizr bhi
jab maut hai to zindagi-e-musta'ar kya
saqi bata de mujh ko pilane se peshtar
kya maut hi banegi nashe ka utar kya


kahta hai 'ishq ho ke baghal-gir mujh se yun
jab aa chuki hai maut to phir intizar kya
'ahqar' ko laya bazm mein israr-e-ahl-e-zauq
tha sha'iron mein warna hamara shumar kya


18518 viewsghazalEnglish