shauq jab bhi bandagi ka rahnuma hota nahin zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin kya samajh aaengi tum ko ishq ki barikiyan dil tumhaara jab talak dard-ashna hota nahin ruh o tan ka ishq ye qaem rahega daimi khatm baad-e-marg bhi ye silsila hota nahin kaun hai jo jurm karne ko hai shab ka muntazir raushni mein din ki yaro kya bhala hota nahin ghaaliban hota mujhe bhi ghar ke girne ka gila rahgiron ka agar ye rasta hota nahin bad-gumani ki faza mein kya safai den tumhein is faza mein koi bhi hal masala hota nahin ek zara si baat pe ye munh banana ruthna is tarah to koi apnon se khafa hota nahin koi gustakhi to ki hai naw ne girdab se warna yun sahil pe koi gham-zada hota nahin kamra-e-taqdir mein aati urus-e-arzu waqt-e-na-hanjar ka jo faisla hota nahin aankh se pine ka bhi saqi ne manga hai hisab is rawish se yaro koi mai-kada hota nahin 'mufti' dekho mahr palta hai meri taqdir ka dekhte hain kis tarah sajda ada hota nahin