shauq ke hathon ai dil-e-muztar kya hona hai kya hoga ishq to ruswa ho hi chuka hai husn bhi kya ruswa hoga husn ki bazm-e-khas mein ja kar is se ziyaada kya hoga koi naya paiman bandhenge koi naya wada hoga chaaragari sar aankhon par is chaaragari se kya hoga dard ki apni aap dawa hai tum se kya achchha hoga waiz-e-sada-lauh se kah do chhode uqba ki baaten is duniya mein kya rakkha hai is duniya mein kya hoga tum bhi 'majaz' insan ho aakhir lakh chhupao ishq apna ye bhed magar khul jaega ye raaz magar ifsha hoga