shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun

By sirajuddin-zafarNovember 21, 2020
shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun
raqs-e-wahshat mein uthun aur dhuan ho jaun
sath agar baad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar
ek bhatakti hui aawaz-e-fughan ho jaun


ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat
nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jaan ho jaun
la surahi ki karun wahm-o-guman gharq-e-sharab
is se pahle ki main khud wahm-o-guman ho jaun


wo tamasha hun hazaron mere aaine hain
ek aaine se mushkil hai ayan ho jaun
shauq mein zabt hai malhuz magar kya malum
kis ghadi be-khabar-e-sud-o-ziyan ho jaun


aisa andaz-e-ghazal ho ki zamane mein 'zafar'
daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun
85072 viewsghazalEnglish