shayad koi kami mere andar kahin pe hai main aasman pe hun mera saya zamin pe hai afsana-e-hayat ka har ek saneha tahrir harf harf hamari jabin pe hai dariya mein jis tarah se ho mahi usi tarah main hun jahan pe mera khuda bhi wahin pe hai jannat khuda hi jaane kahan hai kahan nahin mujh ko yaqin hai ki jahannam yahin pe hai yun ji rahe hain sakht aziyyat ke bawajud dar-o-madar zist ka jaise hamin pe hai is tarah faslon pe fatah pa chuke hain hum ek panw aasman pe hai ek zamin pe hai 'shadab' husn-o-ishq masawi hain aaj-kal ilzam mujh pe hai wahi us naznin pe hai