shayad main apne jism se bahar nikal gaya

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
shayad main apne jism se bahar nikal gaya
kyon warna mere dil se mera dar nikal gaya
sahil pe dhundhti rahi meri khudi mujhe
dariya-e-be-khudi mujhe le kar nikal gaya


aksar hum us ke waqt-e-muqarrar pe mar na pae
aksar hamara waqt-e-muqarrar nikal gaya
main ne makan ko itna sajaya ki ek din
tang aa ke is makan se mera ghar nikal gaya


manzar wo samne tha ki aankhen thin wajd mein
phir 'ain wajd mein hi wo manzar nikal gaya
56423 viewsghazalEnglish