shayad mujhse jaan chhuDaya karta tha

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
shayad mujh se jaan chhudaya karta tha
ghar khud ko viran bataya karta tha
rishte mein ek mod nahin hai dur talak
pahle ek doraha aaya karta tha


aasani se hum bhi sabz na hote the
wo bhi apni dhup bachaya karta tha
chand hamein le jata tha madhoshi tak
subh ka tara hosh mein laya karta tha


khali hath utarta tha dukanon se
aadhe-paune dam lagaya karta tha
munh par us se karta tha iqrar ki zid
wapas aa kar shukr manaya karta tha


83233 viewsghazalEnglish