shayad wo paDh sakenge na likkha hua tamam

By afsar-saleem-afsarMay 22, 2024
shayad wo padh sakenge na likkha hua tamam
khat mera aansuon mein hai bhiga hua tamam
rudad-e-dard-e-ishq sunane chala tha main
tum se mili nigah to qissa hua tamam


dil mera hasraton ki hai duniya liye hue
aankhon mein sail-e-ashk hai thahra hua tamam
unchi 'imaraten hain magar pasta-qad hain log
ye tera shahr mera hai dekha hua tamam


tewar kuchh ab ke aur hain fasl-e-bahaar ke
ghuncha koi khila bhi to bikhra hua tamam
ab ye chaman bhi dosto kuchh ghair sa lage
har chand apne khun se hai sincha hua tamam


in mah-rukhon ke 'ishq mein 'afsar' mera kalam
aata hai baam-e-arsh se nikhra hua tamam
22273 viewsghazalEnglish