shiddat-e-gham se jo KHamosh zaban hoti hai

By amjad-ali-ghaznawiOctober 2, 2021
shiddat-e-gham se jo khamosh zaban hoti hai
dil ki har baat nigahon se bayan hoti hai
yahi shabnam jo gul-o-ghuncha ki jaan hoti hai
baz auqat gulistan pe giran hoti hai


bas wahin sahil-e-ummid ubhar aata hai
kashti-e-dil ba-khushi gharq jahan hoti hai
ahl-e-dil ahl-e-yaqin ahl-e-amal ke aage
rah dushwar bhi dushwar kahan hoti hai


kashti-e-umr hai tufan-e-hawadis mein magar
gharq hoti hai ye zalim na rawan hoti hai
hum to diwana-e-manzil hain hamein kya malum
subh hoti hai kahan sham kahan hoti hai


kah do gulchin se ki phulon ko sanbhal kar tode
inhin phulon mein nihan barq-e-tapan hoti hai
85309 viewsghazalEnglish