shiddat se mujhse hath chhuDane ke bawajud
By ankit-mauryaFebruary 5, 2024
shiddat se mujh se hath chhudane ke bawajud
thoda sa rah gaya hai wo jaane ke bawajud
apne safar ke waqt mein tanha hi rah gaya
ek 'umr doston pe lutane ke bawajud
koi sawal zindagi ka hal nahin hua
padhne mein sari 'umr ganwane ke bawajud
apna hum ek shakhs ikattha na kar sake
apnon ke bich shor machane ke bawajud
laila nahin mili so main majnun na ban saka
sahra mein khub khak udane ke bawajud
hairat hai mere hath salamat hain ab talak
sho'la-badan ko hath lagane ke bawajud

97614 viewsghazal • English