shoala-e-dard ba-unwan-e-tajalla hi sahi lutf-e-diwangi-o-zauq-e-tamasha hi sahi dil nahin lazzat-e-didar se sarshaar agar wahshat-e-jaan hi sahi hasrat-e-jalwa hi sahi ye bhi kya kam hai ki ummid-e-karam mein guzre rasm-o-ain-e-wafa dahr mein anqa hi sahi kuchh to hai jis se hai qindil-e-ghazal tabinda fikr-e-imroz-o-pareshani-e-farda hi sahi hijr mein khulte hain asrar-e-mohabbat kya kya gham mein ye moajiza-e-husn-e-masiha hi sahi un ke daman pe koi dagh na aane pae main har ek rang har ek haal mein ruswa hi sahi phir bhi hai wajh-e-qarar-e-dil-e-muztar 'hafiz' wo adu din ka dushman meri jaan ka hi sahi