shoala hi sahi aag lagane ke liye aa

shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
phir nur ke manzar ko dikhane ke liye aa

ye kis ne kaha hai meri taqdir bana de
aa apne hi hathon se mitane ke liye aa

ai dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa

diwar hai duniya ise rahon se hata de
har rasm-e-mohabbat ko mitane ke liye aa

matlab teri aamad se hai darman se nahin hai
'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close