shor sa ek har ek samt bapa lagta hai wo khamoshi hai ki lamha bhi sada lagta hai kitna sakit nazar aata hai hawaon ka badan shakh par phul bhi pathraya hua lagta hai chikh uthti hui har ghar se nazar aati hai har makan shahr ka aaseb-zada lagta hai aankh har rah se chipki hi chali jati hai dil ko har mod pe kuchh khoya hua lagta hai kitna hasid hun ki ek tu hi mera apna hai aur tu thik se hansta bhi bura lagta hai mere ehsas ne sawan mein ganwai hai nazar mujh ko sukha hua jangal bhi hara lagta hai