shor uske makan se uThta hai
By aarif-zamanApril 21, 2024
shor us ke makan se uthta hai
kya wo muflis jahan se uthta hai
shak ta'alluq kharab karta hai
fitna wahm-o-guman se uthta hai
dam mein bujh jati hai saf-e-matam
tu agar darmiyan se uthta hai
duniya jhuton mein bat gai dekhen
nara-e-haq kahan se uthta hai
shahr mein kis taraf lagi hai aag
ye dhuan sa kahan se uthta hai
dud insaniyat ki khushbu ka
pyari urdu zaban se uthta hai
'ishq mein aadmi 'zaman' upar
fikr-e-sud-o-ziyan se uthta hai
kya wo muflis jahan se uthta hai
shak ta'alluq kharab karta hai
fitna wahm-o-guman se uthta hai
dam mein bujh jati hai saf-e-matam
tu agar darmiyan se uthta hai
duniya jhuton mein bat gai dekhen
nara-e-haq kahan se uthta hai
shahr mein kis taraf lagi hai aag
ye dhuan sa kahan se uthta hai
dud insaniyat ki khushbu ka
pyari urdu zaban se uthta hai
'ishq mein aadmi 'zaman' upar
fikr-e-sud-o-ziyan se uthta hai
98749 viewsghazal • English