shukr kiya hai in pedon ne sabr ki aadat dali hai is manzar se dekho barish hone wali hai socha ye tha waqt mila to tuti chizen jodenge ab kone mein dher laga hai baqi kamra khali hai baithe baithe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai apni marzi se sab chizen ghumti phirti rahti hain be-tartibi ne is ghar mein itni jagah bana li hai der se qufl pada darwaza ek diwar hi lagta tha us par ek khule darwaze ki taswir laga li hai har hasrat par ek girah si pad jati thi sine mein rafta rafta sab ne mil kar dil si shakl bana li hai upar sab kuchh jal jaega kaun madad ko aaega jis manzil par aag lagi hai sab se niche wali hai ek kamra sayon se bhara hai ek kamra aawazon se aangan mein kuchh khwab pade hain waise ye ghar khali hai pairon ko to dasht bhi kam hai sar ko dasht-nawardi bhi 'adil' hum se chadar jitni phail saki phaila li hai