shumar lamhon ka sadiyon mein kar raha hun main ajib waqt se yaro guzar raha hun main ye sara faiz usi aatish-e-darun ka hai hua hai kitna andhera nikhar raha hun main nazar nazar mein hikayat mere junun ki hai sahifa ban ke dilon mein utar raha hun main mujhe mita na sakoge hazar koshish se jahan duboya wahan se ubhar raha hun main