shuur chahiye izhaar-o-agahi ke liye

By rishi-patialviNovember 14, 2020
shuur chahiye izhaar-o-agahi ke liye
khushi hai gham ke liye aur gham khushi ke liye
hazar jalwe nazar ke liye hain aalam mein
nigah-e-shauq hai lekin kisi kisi ke liye


zara hawaon ke rukh par bhi ek nazar dalen
charagh dhund rahe hain jo raushni ke liye
kisi ne ye bhi na puchha ki kya guzarti hai
hum apne aap se jate rahe kisi ke liye


ye raaz puchhe to parwane se koi puchhe
ki be-sabab koi marta nahin kisi ke liye
riyaz-e-ishq mein aisi bhi ek bahaar aai
nigah-e-shauq ne bose kali kali ke liye


kise khabar thi ki khud raushni ko tarsega
charagh-e-ishq jalaya tha raushni ke liye
usi ka nam farishton ke nam se chamka
jo aadmi hua qurban dosti ke liye


hazar qudrat-e-azm-o-amal sahi lekin
khala ka khauf bhi lazim hai aadmi ke liye
dawa-e-dard agar aap se nahin hoti
dua-e-marg hi kar jaiye 'rishi' ke liye


94534 viewsghazalEnglish