shuur-e-kaif-o-khushi hai zara thahr jao wufur-e-gham mein kami hai zara thahar jao natija johd-e-musalsal ka aage kya hoga mahall-e-fikr yahi hai zara thahar jao kashakash-e-gham-e-dauran mein zinda rahne ki tumhi se dad mili hai zara thahar jao ye baat tum se koi aur kah nahin sakta ye baat dil ne kahi hai zara thahar jao tumhaare jaane ke ehsas ne jo bakhsha hai wo zakhm taza abhi hai zara thahar jao ye raat sirf mah-o-kahkashan ki raat nahin ye raat tum se saji hai zara thahar jao zaban kalam ki lazzat se kyun rahe mahrum nazar nazar se mili hai zara thahar jao phir ab na tum se jo hum mil sake to kya hoga hayat soch rahi hai zara thahar jao chaman se dur nasheman ki fikr kya ki abhi tadap ke barq giri hai zara thahar jao tilism-e-aish tumhaari qasam nahin tuta fareb-e-khwab wahi hai zara thahar jao ilaj-e-gardish-e-ayyam ke liye 'shaukat' tamam umr padi hai zara thahar jao