sidha chalne mein dushwari hoti hai

sidha chalne mein dushwari hoti hai
khali jeb bhi kitni bhaari hoti hai

mujhe bataya bagh mein baad-e-sarsar ne
sahra mein bhi baad-e-bahaari hoti hai

main wahshat mein phul masalne lagta hun
mujh par jab wo khushbu tari hoti hai

mujh ko aap aza-khana kah sakte hain
jitni mujh mein girya-o-zari hoti hai

sab se pahle wahi nishana bante hain
jin hirnon ki aankh shikari hoti hai

ye misra to mila hai mujh ko wirse mein
sab se badi daulat khuddari hoti hai

diwana 'arman' main un ko manta hun
jin ki sanad sahra se jari hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close