sidrat-ul-wasl ke sae ka talabgar hun main tapish-e-hijr mein barson se giraftar hun main ja kisi aur ko ja dhamkiyan de marne ki jab se main paida hua tab se sar-e-dar hun main mera paigham bhala tegh kahan rokegi hakim-e-waqt ko batlao qalam-kar hun main main ne to rab ko bhi puja hai aur us yar ko bhi waiza tu hi bata kis ka gunahgar hun main manzil-e-zist kahan manzil-e-maqsud 'waqar' ek surayya-e-mohabbat ka talabgar hun main