silsila-jumban-e-wahshat mein nai tadbir se tauq mannat ke badalte hain meri zanjir se aap le jaen unhen ya dil ke tukde jod den meri khatir jama ho jae kisi tadbir se naza mein bhi ki gain hum par bahut si sakhtiyan saikdon tufan uthe aab-e-dam-e-shamshir se naza mein hain panw mere ku-e-jaanan ki taraf chahta hun main pahunch jaun kisi tadbir se ek nazar insaf se kije zara su-e-'rashid' aashiqana kya ghazal ab ho sake is pir se