silsila to kar qasid us talak rasai ka dukh saha nahin jata yar ki judai ka jab zara mahak aai shakh mein lachak aai baghban ko dhyan aaya bagh ki safai ka farba tha tawana tha tera jaana-mana tha jis pe tu hua shaida launda hai qasai ka sar pe pair rakhta hai mujh se bair rakhta hai main ne kab kiya dawa tujh se aashnai ka doston mein than jati thi ye us ki nadani dushmanon ke hath aata mauqa jag-hansai ka har koi pareshan hai aasman se nalan hai har kisi ko shikwa hai us ki kaj-adai ka ye ajib shewa hai doston ka shikwa hai har kisi ko dawa hai apni parsai ka ai tamiz bas bhi kar is qadar na mar us par kyun hai 'shauq' charraya tujh ko jubba-sai ka