silsile sab ruk gae dil hath se jata raha

By aazim-kohliApril 22, 2024
silsile sab ruk gae dil hath se jata raha
hijr ki dahliz par ek dard lahraata raha
qalb ka daman junun mein bhi na chhoda 'aql ne
dhadkanon ki chap sun kar mujh ko khauf aata raha


masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab
us ka har ehsan mujh par nekiyan dhata raha
main raha be-khwab khwabon ke tilismi jal mein
wo meri ninden chura kar loriyan gata raha


sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se
zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha
roz aa kar meri khidki mein mere bachpan ka chand
rakh ke sar ek nim ki tahni pe so jata raha


hijr ke baadal chhate jab dhup chamki 'ishq ki
wasl ke aangan mein bhanwra gul pe mandlata raha
zindagi bebak ho kar tujh se aage badh gai
aur 'azim' tu lakiron par hi itraata raha


52677 viewsghazalEnglish