sim miTTi ki hai zar miTTi ka hai
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
sim mitti ki hai zar mitti ka hai
phir bhi talib har bashar mitti ka hai
ibtida bhi intiha bhi khak hai
zist kya hai ek safar mitti ka hai
chaak par chadhna sanwarna tutna
bas ye qissa mukhtasar mitti ka hai
khwab kya hai khwab ka anjam kya
ek gharaunda ret par mitti ka hai
main du'a barish ki mangun kis tarah
ai darakhto mera ghar mitti ka hai
nibhti hai donon mein dekhen kab talak
ek patthar ham-safar mitti ka hai
waz'-dari 'ahd-e-nau mein hai kahan
mujh mein jo hai wo asar mitti ka hai
sina hai faulad ka mera 'kamal'
is ke andar dil magar mitti ka hai
phir bhi talib har bashar mitti ka hai
ibtida bhi intiha bhi khak hai
zist kya hai ek safar mitti ka hai
chaak par chadhna sanwarna tutna
bas ye qissa mukhtasar mitti ka hai
khwab kya hai khwab ka anjam kya
ek gharaunda ret par mitti ka hai
main du'a barish ki mangun kis tarah
ai darakhto mera ghar mitti ka hai
nibhti hai donon mein dekhen kab talak
ek patthar ham-safar mitti ka hai
waz'-dari 'ahd-e-nau mein hai kahan
mujh mein jo hai wo asar mitti ka hai
sina hai faulad ka mera 'kamal'
is ke andar dil magar mitti ka hai
65939 viewsghazal • English