sim-o-zar chahe na almas-o-guhar mange hai dil to darwesh hai ulfat ki nazar mange hai jab ghazal mujh se koi misra-e-tar mange hai kawish-e-fikr mera khun-e-jigar mange hai dil ko hai aafiyat-e-anjuman-e-gul ki talab zindagi dasht-e-mughilan ka safar mange hai mujh ko le jae jo anjaane dayaron ki taraf meri aawara-mizaji wo dagar mange hai apne mahaul se har shakhs hai mail-ba-farar koi bezar hai ghar se koi ghar mange hai the jo rangini-e-daman-e-nazar ka saman dida-e-shauq wahi sham-o-sahar mange hai kal bhi jaan-baz hi karte the nigah-dari-e-haq ye junun aaj bhi nazrana-e-sar mange hai ho jahan aib-shumari hi parakh ka mafhum sabir us shahr mein kya dad-e-hunar mange hai