sina-e-shair gham se bhara hai aankh magar namnak nahin hai roz-e-azal se hai diwana daman lekin chaak nahin hai hijr ke gham mein rone wale tera alam duniya ki nazar mein kal bhi ibrat-nak nahin tha aaj bhi ibrat-nak nahin hai shikwa-ba-lab wo rind hain saqi aaj bhi tere maikhane mein tishna-dahan baithe hain lekin arz-e-talab bebak nahin hai shair ki aawara tabiat asl mein hai tazin-e-mohabbat naseh mushfiq tum sab kuchh ho sirf yahi idrak nahin hai tu hi bata hum aise insan teri gali mein kyun aate hain teri adaen shokh nahin hain teri nazar bebak nahin hai main hi kya kuchh aur yagane meri tarah hain tere diwane parwanon ki khak mein shamil lekin meri khak nahin hai tum ne 'aziz' us ki mahfil mein shab na sahi lamhe tu guzare mustaqbil ki fikr to kyun ho haal bhi hasrat-nak nahin hai