sina hai purze purze ja-e-rafu nahin yan tanke lagawen kis ko dil ki to bu nahin yan saqi hai sarw-o-gul hai mutrib hai aur tarana afsos ek yahi hai aise mein tu nahin yan har-chand tu hamesha pesh-e-nazar hai is par chhut teri justuju ke kuchh justuju nahin yan majlis se apni gul ko bhijwa de phir chaman mein kis waste ki us ka wo rang-o-bu nahin yan hairan hun ki kije kis se suragh-e-ishrat matam-kada hai aalam juz-hae-o-hu nahin yan jo aarzu dilon mein muzmar hai sahibon ke hai aarzu to lekin wo aarzu nahin yan aae the hum chaman mein sun kar teri khabar ko phir kya karenge rah kar zalim jo tu nahin yan ahl-e-sukhan ka ya-rab kyun mohtasib hai dushman click o dawat hai kuchh jam-o-subu nahin yan qurbaniyan-e-ulfat sab sar kate pade hain shamshir ke hawale kis ka gulu nahin yan majlis mein teri thahre kya 'mushafi' ki nadan ghair-e-az-abe-tabe to kuchh guftugu nahin yan