sina lahuluhan hai kali chaTan ka

By aajiz-hengan-ghatiAugust 13, 2024
sina lahuluhan hai kali chatan ka
patthar mein bhi guman sa hota hai jaan ka
chhota sa ek tinka chidiya ki chonch mein
shahtir lag raha tha jo unche makan ka


qindil le ke khud hi wo khandaq mein ja gira
na'ra laga raha tha abhi sawdhan ka
hai samne se aankh milane ka lutf aur
khelega kya shikar shikari machan ka


'ajiz' meri qamiz mein atka tha jo kabhi
tohfe ka tha wo phul ki kanta tha jaan ka
78277 viewsghazalEnglish