sina-safi ki hai jise ainak us kun didar-e-yar hai be-shak safha-e-dil kun dagh ki kar mohr ishq ke shah ne diya dastak rahzan-e-aql sin nahin wiswas hun himayat mein ishq ki jab tak bul-hawas soz-e-dil kun kya jaane na jale hargiz aag mein abrak ghair ka naqsh ghair-e-naqsh-nigar safha-e-dil sati kiya hun hak shor hai bas ki tujh malahat ka dil hamara hua hai kan-e-namak gar jala chahta hai misl-e-'siraj' ai dil us shoala-ru ki dekh jhalak