sine ke zakhm panw ke chhaale kahan gae ai husn tere chahne wale kahan gae shanon ko chhin chhin ke phenka gaya kahan aaine tod-phod ke dale kahan gae khalwat mein raushni hai na mahfil mein raushni ahl-e-wafa charagh-e-wafa le kahan gae but-khane mein bhi dher hain tukde haram mein bhi jam-o-subu kahan the uchhaale kahan gae aankhon se aansuon ko mili khak mein jagah pale kahan gae the nikale kahan gae barbaad-e-rozgar hamara hi nam hai aaen tamasha dekhne wale kahan gae chhupte gae dilon mein wo ban kar ghazal ke bol main dhundhta raha mere nale kahan gae uthte houn ko sab ne sahaara diya 'kalim' girte hue gharib sambhaale kahan gae