sine mein arman ki ganga aankhon mein jamuna ka hai jal
By badiuzzaman-saharJanuary 19, 2024
sine mein arman ki ganga aankhon mein jamuna ka hai jal
lekin dil ke taj-mahal mein koi nahin mumtaz mahal
kis ko batlaen ki kya hai jazb-e-darun ehsas-e-wafa
kis ke gham mein naghma-e-dil hai kis ki hai taswir ghazal
aahen aansu girya-o-hasrat soz-e-darun hangama-e-wahshat
in sho'lon mein jo na tapa ho kya jaane wo dard-e-baghal
maikhane mein jam badal de chahe mai-e-gulfam badal de
kam-az-kam ai pir-e-mughan tu rasm-e-rawadari na badal
kya samjhe wo nashsha-e-mai ko kya jaane zunnar qadah ko
tu hi dard-asham ko saqi batla de tahdid-e-'amal
rukh ki dhup aaina-e-taban mar-gazida kakul-e-pechan
dilkash rup aur chah-e-zanakhdan sab hain 'sahar' saman-e-ajal

27552 viewsghazal • English