sine mein sulagte hue lamhat ka jangal kis tarah kate taron bhari raat ka jangal han dast-shanasi pe bada naz tha us ko dekha na gaya us se mere hat ka jangal ummid ka ek ped ugae nahin ugta khud-raw hai magar zehn mein shubhat ka jangal de taqat-e-parwaz ki upar se guzar jaun kyun rah mein hail hai meri zat ka jangal khwabida hain is mein kai ayyar darinde behtar hai ki jal jae ye jazbaat ka jangal kuchh aur masail meri jaanib hue mail kuchh aur hara ho gaya haalat ka jangal taswir-e-ghazal mein se jhalakta hua 'aslam' ye shahr-e-sukhan hai ki khurafat ka jangal