sinon mein tapish hai kabhi shorish hai saron mein

sinon mein tapish hai kabhi shorish hai saron mein
kya chiz basa di gai mitti ke gharon mein

chalta hun sada sath liye apni fasilen
pahchan saka kaun mujhe ham-safaron mein

udna hai to tahzib karo soz-e-darun ki
ye warna kahin aag laga de na paron mein

ghairon mein hui aam teri daulat-e-didar
ek kohl-e-basar tha ki luta be-basron mein

do-gam pe tum khud se bichhad jate ho 'khurshid'
aur log samajhte hain tumhein rahbaron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close