sirf ahd-e-wafa nahin baqi

By tajuddin-tajMay 28, 2021
sirf ahd-e-wafa nahin baqi
warna duniya mein kya nahin baqi
kitna marhum-e-arzu hoga
jo ye kah de khuda nahin baqi


mera sajda bhi ho ali ki tarah
kya karen hausla nahin baqi
un se milne ko roz milta hun
iltifat-e-wafa nahin baqi


wo mujhe mehrban se lagte hain
jaise koi saza nahin baqi
sab ke hathon mein aaj kasa hai
ab kisi mein ana nahin baqi


40479 viewsghazalEnglish