sirf ye to nahin dariya mein utar sakta hun
By shahzad-baigOctober 9, 2023
sirf ye to nahin dariya mein utar sakta hun
main kisi waqt bhi maujon se ubhar sakta hun
tu zamane se mujhe itna bhi mahfuz na rakh
main to ab teri hifazat mein bhi mar sakta hun
tu meri zat ko ab aakhiri tarikh na de
is se pahle to main kuchh aur bhi kar sakta hun
tu ne baaton se dikhae hain manazir jo yahan
main to is pet ko wadon se bhi bhar sakta hun
ye jo badh-chadh ke nawaza hai mujhe tu ne yahan
ek isi baat ki hairat se bikhar sakta hun
khauf diwar ke girne ka nahin hai 'shahzad'
main to diwar ke hilne se bhi dar sakta hun

41974 viewsghazal • English