sisak rahi hain thaki hawaen lipat ke unche sanobaron se lahu ki mahkar aa rahi hai kate hue sham ke paron se ajab nahin khak ki udasi bhari nigahon ka izn pa kar palat paden ek din rawan paniyon ke dhaare samundaron se wo kaun tha jo kahin bahut dur ke nagar se pukarta tha wo kya sada thi ki aisi ujlat mein log rukhsat hue gharon se badan mein phir sans le raha hai alaw andhi masafaton ka nigah manus ho rahi thi abhi padaw ke manzaron se main hun magar aaj us gali ke sabhi dariche khule hue hain ki ab main aazad ho chuka hun tamam aaankhon ke daeron se qalam ke eajaz se kisi par unhen main kya ikhtiyar dunga wo jin ki tanzim ho saki thi na un ke apne payambaron se jo ho sake to wajud hi ki khari adalat se faisla lo fuzul hai jurm ke natije mein dad-khwahi sitamgaron se