sisakta chikhta ehsas tha mere andar kabhi to jhank ke wo dekhta mere andar kisi ke lams ki khwahish na faslon ki kasak ye kaisa zahr uchhaala gaya mere andar wo ek shakhs jise dhundna bhi mushkil tha bade khulus se rahne laga mere andar lahu ki sukhi hui jhil mein utar kar yun talash kis ko wo karta raha mere andar ye mera dil bhi sarapa mazar sa hai 'saba' lagao katba kisi nam ka mere andar