siskiyan leti hui ghamgin hawao chup raho so rahe hain dard un ko mat jagao chup raho raat ka patthar na pighlega shuaon ke baghair subh hone tak na bolo ham-nawao chup raho band hain sab mai-kade saqi bane hain mohtasib ai garajti gunjti kali ghatao chup raho tum ko hai malum aakhir kaun sa mausam hai ye fasl-e-gul aane talak ai khush-nawao chup raho soch ki diwar se lag kar hain gham baithe hue dil mein bhi naghma na koi gungunao chup raho chhat gae haalat ke baadal to dekha jaega waqt se pahle andhere mein na jao chup raho dekh lena ghar se niklega na ham-saya koi ai mere yaro mere dard-ashnao chup raho kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai 'qatil' apni suli apne kandhe par uthao chup raho