sitam ka zikr kya hum ko sitam achchhe nahin lagte

By bedar-bhopaliMay 6, 2022
sitam ka zikr kya hum ko sitam achchhe nahin lagte
ye jhuta pyar ye jhute bharam achchhe nahin lagte
masarrat ki farawani unhen kya ras aaegi
jinhen ai zindagani tere gham achchhe nahin lagte


hamare sath chalna hai to azm-o-hausla rakhna
wafa ki rah mein bahke qadam achchhe nahin lagte
kisi bhi qaum ke wo naujawan hon un ke hathon mein
qalam to achchhe lagte hain ye bam achchhe nahin lagte


khamoshi ek haqiqat hai magar kya kijiye is ko
hamein mahfil mein patthar ke sanam achchhe nahin lagte
unhen tarikh ke auraq mein munkir likha jae
jo kahte hain hamein dair-o-haram achchhe nahin lagte


jo kal tak khud pe nazan the hamare ham-nashin ho kar
unhin logon ko ab 'bedar' hum achchhe nahin lagte
51484 viewsghazalEnglish