sitare aa gae zikr-e-gulab KHatm hua

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
sitare aa gae zikr-e-gulab khatm hua
kitab-e-‘ishq ka ek aur bab khatm hua
bahut dinon mein junun ne muqabla jita
bahut dinon mein tilism-e-kitab khatm hua


khamosh rah ke zara us ne pher lin nazren
mere sawal ka shayad jawab khatm hua
meri nigah ki wo dhum thi ki basti mein
isi sabab se riwaj-e-naqab khatm hua


kisi ne kar diya aane se daimi inkar
baras mahinon dinon ka hisab khatm hua
tapak ke mil gai aansu ki bund mitti mein
hawa mein shor tha ek aur habab khatm hua


bahut udas hain takmil-e-imtihan par hum
ki sara lutf-e-sawal-o-jawab khatm hua
60667 viewsghazalEnglish